Search This Blog

Saturday, August 14, 2010

SAREER SAITHALI

SAREER SAITHALI

vo ahad ahad hii kyaa jise nibhaao bhii

vo ahad ahad hii kyaa jise nibhaao bhii  hamaare vaadaa-e-ulfat ko bhuul jaao bhii   [ahad=promise]   bhalaa kahaa.N ke ham aise gumaan vaale hai.n  hazaar baar ham aaye.n hame.n bulaao bhii   [gumaan vaale=suspicious people]   biga.D chalaa hai bahut rasm-e-Khud_kushii kaa chalan  Daraane vaalo kisii roz kar dikhaao bhii   tumhaarii niind me.n Duubii hu_ii aa.Nkho.n kii qasam  hame.n ye zid hai ki jaago bhii aur jagaao bhii  

No comments:

Post a Comment